Friday, May 11, 2012

Main chahti hoon nikal jaoon ik aisi jagah
Jahan insaano ka namonishaan na ho
Ho to bas main or meri tanhaiyaan
Kuch unki yaaden or unki parchaiyaan
Nikaal fainkoon apni zindagi se
Har ek rishtey, har ek bandhan ko
Yaad rakhoon to sirf unko
Ya fir apnai armaano ko
Kaash koi aisi jagah hoti
Jahan mujhe mukti mil jaati

No comments:

Post a Comment